Muskurao bahhar ke din hain

Muskurao bahhar ke din hain
Gul khilao bahhar ke din hain
Dkhtran chaman ke qadmon par
Sir jhukao bahhar ke din hain
Read More […]
Muskurao bahhar ke din hain
Gul khilao bahhar ke din hain
Dkhtran chaman ke qadmon par
Sir jhukao bahhar ke din hain
Read More […]
Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat
Kha gayi din ke ujaloon ko yahan chai raat
Shab ke daman mein faqat khawab hai mehroomi hai
Hum ko mafhom yeh samjhane chali aayi raat
Read More […]
Bas rahay hain is nagar mein jinn o insaan aik sath
Yeh riwayat chal pari hai zulm o ihsaas aik sath
Ab tawaqqa hum se rakhna kher khawahi ki abas
Hum ne saaray toar daaley ehad o paimaan aik sath
Read More […]
Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi
Bana kar day zara ik jaam saqi
Pila woh jaam jo madhosh kar day
Miley dil ko bhi kuch aaraam saqi
Read More […]
Lanat ho hukmraanon ke aisay nizam par
Iflaas mantazar hai jahan gaam gaam par
Har roz qeematon mein izafah hai be panah
Joon tak bhi rengti nahi ibn-e ghulam par
Read More […]
Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu
Sada rehtay hain tairay hijar se mansoob yeh aansu
Mey se bhi kahin barh kar, mujhe makhmoor rakhtay hain
Pasandeeda hai un dinon mera mashroob yeh aansu
Read More […]
Tamam umar ussay mujh se ikhtilaaf raha
Raha woh ghar mein mere par mere khilaf raha
Khabar nahi ke tre mann mein chal raha yai kya ?
Teri taraf se mera dil hamesha saaf raha
Read More […]
Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya
Apni kashti ka purana na khuda rehne diya
Loot ka tha maal aakhir baantna to tha zaroor
Hum ne apna le liya bakhra, tera rehne diya
Read More […]