Na hum safar nah kisi
Na hum safar nah kisi hum nashen se niklay ga
Hamaray paon ka kaanta hamein se niklay ga
Na hum safar nah kisi hum nashen se niklay ga
Hamaray paon ka kaanta hamein se niklay ga
Main na jugnu hun, diya hun no koi tara hun
Roshni walay merey naam se jalte kun hain
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai
Chand Pagal Hai Andheray Mein Nikal Parta Ha
Aik Dewana Musafir Hai Meri Aankhon Mein
Waqt Be Waqt Thehrta Hai Chal Parta Hai
Apni Tabeer Ke Chakar Mein Mera Jagta Khwab
Roz Suraj Ki Tarah Ghar Se Nikal Parta Hai
Roz Pathar Ki Hamayat Mein Ghazal Likhte Hain
Roz Sheshon Se Koi Kaam Nikal Parta Hai
Us Ki Yaad Ayi Hai Saanson Zara Aahista Chalo
Dharkno Se Bi Ibadat Mein Khalal Parta Hai
Sari basti qadmon main hai, ye bhi ik fankari hai
Warna badan ko chor ke apna jo kuch hai sarkari hai
Maza Chakha Ke Hi Mana Hun Mein Bhi Dunya Ko
Samaj Rahi Thi Keh Aese Hi Chor Dun Ga Usay
Aik Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinare Dostoo
Dostana Zindagi Se Mout Se Yaari Rakho