Jene Ki Bhi Umeed Nahi
Kehte Hain Jete Hain Umeed Peh Log
Ham Ko Jene Ki Bhi Umeed Nahi
Kam se kam mout se aisi mujhe umeed nahi
Zindagi tu ne to dhokay pay diya hai dhoka
Koshish bhi kar umeed bhi rakh rasta bhi chunn
Phir is ke baad thora muqaddar talaash kar
Na Koi Wa’ada Na Koi Yaqeen Na Koi Umeed
Magar Hmain Tu Tera Intizaar Karna Tha
Jo Meri Khushbu Ke Chiragh Thay Jo Meri Umeed Ke Bagh Thay
Wo Log Hai Meri Aarzo Wohi Soraten Mujhe Chahyen
Aaj Phir Bhuj Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Chiragh
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Diya
Aaj Tak Hai Dil Ko Us Ke Lot Aane Ki Umeed
Aaj Tak Thehri Hoyi Hai Zindagi Apni Jagah