Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi
Bana kar day zara ik jaam saqi
Pila woh jaam jo madhosh kar day
Miley dil ko bhi kuch aaraam saqi
Chala aaya hon tairay paas jo mein
Nahi marnay siwa kuch kaam saqi
Nah uss ka aur nah apna bana mein
Nahi mujh sa koi nakaam saqi
Yuhin gir ke sambhlna seekhna hai
Sahara day mujhe nah thaam saqi
Daur usrat mein mujh se hai gorezan
Achay waqton ka ik hum jaam saqi
Hai qasar aj jo pehchanney se
Tark e talluq ke hain iqdaam saqi
Bana woh me jo maazi ko bhula day
Mein doonga jo bhi hunge daam saqi