The ghazal
Read it in Urdu script-
Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu Sada rehtay hain tairay hijar se mansoob yeh aansu
-
Mey se bhi kahin barh kar, mujhe makhmoor rakhtay hain Pasandeeda hai un dinon mera mashroob yeh aansu
-
Tumhare zikar ho to raaz saaray khol dete hain Meri aankhon mein rehtay hain, kahan mjzob yeh aansu
-
Kisi ki raah ko taktey, jab ankhen khushk ho jayen To le jana mujh se tum, jo hon matloob yeh aansu
-
Nahi yeh raigaan jatay, agar dil se bahaye hon Sikhate hain ishaaqo ko bohat usloob yeh aansu
-
Haawi ab yeh socha hai, ke behnay dun nah aankhon se Dhaal kar shairoon mein unko, karoon maktoob yeh aansu
Submitted by Tariq Iqbal Haavi


