Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat

urdu ghazal raat

Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat
Kha gayi din ke ujaloon ko yahan chai raat

Shab ke daman mein faqat khawab hai mehroomi hai
Hum ko mafhom yeh samjhane chali aayi raat

Hum to khud apni hatheli pay jala laye chiragh
Phir jo ashkon ke sitaron se nah sajh payi raat

Din hamein shab ke andheray mein mila, kya karte
Din ko kuch phol diye shab mein magar dhai raat

Hum ne do din ko mohabat ka ujala dekha
Nafratoon ki jo chali baad to phir chai raat

Imteha aur tarhan ke hi liye shab ne mere
Kuch nah kar paye to bas din mein chura layi raat

Sun le faryad meri koi, zaroori to nahi
Aah o hasrat ke sabab aaj hai purwai raat

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments