Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do

pyar-urdu-poetry

Ham Ne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mehkti Khusbo
Hath Se Cho Kar Isay Rishton Ka Ilzam Na Do
Sirf Ihsaas Hai Isay Ruh Se Mehsoos Karo
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do
Pyar Koi Bol Nahi, Pyar Awaz Nahi
Ik Khusbu Hai Ke Sansoon Main Rachi Rehti Hai
Na Ye Rukti Hai Na Jalti Hai Na Thehrti Hai Khain
Noor Ki Bond Hai Sadiyon Se Baha Karti Hai
Sirf Ihsaas Hai Isay Ruh Se Mehsoos Karo
Pyar Ko Pyar Hi Rehne Do Koi Naam Na Do

Ku Ba ku Phail Gai | Parveen Shakir Ghazal

Parveen-shakir-poetry1

Ku Ba ku Phail Gai Baat Shanasai Ki
Us Ne Khushbu Kee Tarah Meri Pzeeraie Ki

Kiase Keh Doon K Mujhe Chorr Diya Us Ne
Baat To Sach Hai Maggar Baat Hai Ruswaaie Ki

Woh Kahein B Giya, Loutaa To Merey Paas Aya
Bas Yahi Baat Hai Achhi Mere Harjaie Ki

Us Ne Jalti Hui Peshaani Pe Jabb Haath Rakhaa
Rooh Tk Aa Gaie Taa’seer Maseehai Kee

تیرے چرچے ہیں جفا سے تیری

تیرے چرچے ہیں جفا سے تیری
لوگ مر جائیں بلا سے تیری

کوئی نسبت کبھی اے جانِ سخن
کسی محرومِ نوا سے تیری

اے میرے ابرِ گریزان کب تک
راہ تکتے رہیں پیاسے تیری

تیرے مقتل بھی ہمیں سے آباد
ہم بھی زندہ ہیں دعا سے تیری

تو بھی نادم ہے زمانے سے ‘فراز‘
وہ بھی ناخوش ہیں وفا سے تیری

Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha? – Daagh Dehlvi

Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha?
Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha?

Wo Qatal Kar Ke Mujhe Har Kisi Se Poochte Hain
Ye Kaam Kis Ka Hai? Ye Kaam Kis Ka Tha?

Wafa Karein Ge, Nibhaen Ge, Baat Maanain Ge
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kia Ka Tha?

Raha Na Dil Mein Wo Be_Dard Aur Dard Raha
Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha?

Na Pooch Gach Thi Kisi Ki Wahan Na Aao Bhagat
Tumhari Bazm Mein Kal Ehtamam Kis Ka Tha?

Tamam Bazam Jisy Sun Ke Reh Gai Mushtaaq
Kaho Wo Tazkara-E-Naa Tamam Kis Ka Tha?

Guzar Gaya Wo Zamana, Kahoon To Kis Se Kahoon?
Khayal Dil Ko Mere Subh-O-Shaam Kis Ka Tha?