Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya
Apni kashti ka purana na khuda rehne diya
Loot ka tha maal aakhir baantna to tha zaroor
Hum ne apna le liya bakhra, tera rehne diya
Roshni mein baat barbadi ki ho sakti nah thi
Is liye to sab charaghoon ko bhuja rehne diya
Kya shikayat reh gayi hai, ab gilah baqi hai kya? ?
Sab luta baithy hain apne paas kya rehne diya
Ae hamaray dil ke dushman tum se apna intiqam
Le to satke thay magar ab ba-khuda rehne diya
Apne apne tor ka hai har koi johar shanaas
Hum ko bhai saadgi, naz o ada rehne diya
Tum gaye to zindagi ka har saleeqa khatam shud
Ghar mein bikhra hum ne kora ja baja rehne diya
Dil kisi ki raah mein jo biich gaya so biich gaya
Dakhal kya dena tha, hum ne bas bichaa rehne diya
Sir zamee se hum ne dil ki noch phainky sab shajar
Pairr ik mehka hoa hasrat laga rehne diya