Tamam umar ussay mujh se ikhtilaaf raha
Raha woh ghar mein mere par mere khilaf raha
Khabar nahi ke tre mann mein chal raha yai kya ?
Teri taraf se mera dil hamesha saaf raha
Baja ke rutba koi ain qaaf laam ka hai
Buland sab se magar ain shin qaaf raha
Mujhe guman ke koi mujh mein nuqs bhi ho ga ?
Raha naqaab mein chehra, teh ghilaaf raha
Kabhi tha beech mein paryoon ke, ab junoo ke beech
Yeh shehar mere liye goya koh qaaf raha
Woh shakhs jiss ko sakoo mere bin nah aata kahin
Nahi tha mera, naya aik inkishaaf raha
Khuda kere ke wafa ka bharam rahay qaim
Maamla tha bara saaf aur saaf raha
Mein apne fun ka pujari hon doosron ka nahi
Bara hai woh ke jisy sab ka aitraaf raha
Rasheed kosa kiya mein yahan muqaddar ko
Wahan chupaa hoa seenay mein ik shagaaf raha