Mehngai Bomb

mehngai urdu shayari

Lanat ho hukmraanon ke aisay nizam par
Iflaas mantazar hai jahan gaam gaam par

Har roz qeematon mein izafah hai be panah
Joon tak bhi rengti nahi ibn-e ghulam par

Faqon se log khud kushi amaada hogaye
“Mehngai bomb” gira hai nehattay awam par

Heera shima ko bomb ne kya tha tbah magar
Barbaad hum huay hain tagayur ke naam par

Be ghairti ki had se bhi agay nikal gaya
Charsi to pi raha hai faqat jaam, jaam par

Masnad hai uss ke paas ke rakhay nah ba khuda
Thoray muawzay pay jese koi kaam par

So saal jung lar ke bhi atay nah jiss jagah
Day kar zawaal laya hamein uss maqam par

Kya so rahay hain chars ke sote laga ke sab
Likhwa liye hain mehal ya kuch apne naam par

Kyun chentay nahi ho mawali se iqtidaar
Dhaya hai jiss ne zulam har ik khaas o aam par

Iss be haya ki baat ka karna nah aitbaar
Rakhay bhi haath yeh jo khuda ke kalaam par

Ab tak daleel deta hai apne difaa mein
Laanat hai teri zaat par aur aqal khaam par

Iss ko waqar arz watan se bhala hai kya
Jo apna aap baiche ga ik roz daam par

Hasrat hai meri munsif aala se iltija
Makhlooq ko nijaat dila rab ke naam par

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments