Han ishq hai mujh ko

Han ishq hai mujh ko tumhari zaat se
Tere andar jo mojood saari sifaat se
Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi
Hamein fanaa hai magar jawidaan to woh bhi nahi
Hamaray pyar ki nao phansi hai beech bhanwar
Bacha ke laaye koi badbaan to woh bhi nahi
Jo sach kahin to khizaa ourh ke bhi khush hain bohat
Nhِin ujaar magar gulisitan to woh bhi nahi
Read More […]
Kama ke jo bhi lata hai woh ghar pay waar deta hai
Karaye daar ko ghar ka kiraya maar deta hai
Tujhe maloom hai na hum kisi se lar nahi satke
Hamaray haath mein phir kis liye talwar deta hai
Kisi ko gaaliyan dena shareefon ka nahi shewa
Jo hota hai bura gaali wohi badkaar deta hai
Mujhe pakka yaqeen hai mein taraqqi paon ga ik din
Duayen raat din mujh ko mra dildar deta hai
Bohat takleef hoti hai bohat rota hai dil ghazni
Wafaon ke aiwz dhoka koi jab yaar deta hai
Ghazanfer ghazni
Usay khabar nahi shayad, koi ja ke bataye us ko
Mere sene main wo dharkan ki tarah rehta hai
Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay
Khird se door tumhe aql-e khaam yaad rahay
Ada kiya to hai kirdaar shah zade ka
Magar ghulam ho, ibn-e ghulam yaad rahay
Abhi hain shall mere bazu so haath khech liya
Zaroor lon ga magar intiqam yaad rahay
Read More […]