Najane mujh se kya pocha gaya tha Magar lab par tera naam aa gaya thaMuheet ik umar par hai faasla woh Meri jaan beech jo rakha gaya tha
Hain shair tere shusta, lab o lehja haseen hai Par kya hai ke yeh murda paraston ki zameen haiAe sehmi kasak too ne mera sath diya hai Hamdard meri tu hai, tu hi dil ki maken hai
Bura tha ya bhala jaisa bhi tha rakha gaya tha Tumhi keh do hamara naam kya rakha gaya thaTum apne aap mein thay barhaman, shudder thay hum hi Jbhi to beech mein yeh faasla rakha gaya tha
Baloch qom ke bachy hoye hain gum aisy Har ik shakhs yahan haye satpata ke rahaBacha ke dil ki zameen ko rakha tha main ne rasheed Ghamon ka abar mery aasman py cha ke raha
Naz us ke uthata hoon rulaata bhi mujhe hai Zulfon mein sulaata bhi, jagaata bhi mujhe haiAata hai bohat uss pay mujhe gussa bhi lekin Pyar uss pay kabhi toot ke aata bhi mujhe hai
Hamein jo zabt ka haasil kamaal ho jaye Hamara ishq bhi jannat-e misaal ho jayeSuna hai tum ko saleeqa hai zakham bharnay ka Hamaray ghaao ka bhi indimaal ho jaye
Jaanta koi nahi aaj asolon ki zuban Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zubanMosam gul hai khilay ap ki khushbu ke gulab Bolan aa ke phir zara jholon ki zuban
Banay phirtay hain woh fankar logo Azal se jo rahay makkar, logoKoi kam zarf dekhlaye haqeeqat Har ik ja, har ghari har baar logo
Mere honton se pehlay hansi cheenta Phir mera dil, meri zindagi cheentaAur luttay ko hi paas kya tha mِre Aankh mein reh gayi thi nami, cheenta
Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi Hamein fanaa hai magar jawidaan to woh bhi nahiHamaray pyar ki nao phansi hai beech bhanwar Bacha ke laaye koi badbaan to woh bhi nahiJo sach kahin to khizaa ourh ke bhi khush hain bohat Nhِin ujaar magar gulisitan to woh bhi nahi
Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay Khird se door tumhe aql-e khaam yaad rahayAda kiya to hai kirdaar shah zade ka Magar ghulam ho, ibn-e ghulam yaad rahayAbhi hain shall mere bazu so haath khech liya Zaroor lon ga magar intiqam yaad rahay
Mein tairay sang abhi aur chal nhِin sakta Lِkha gaya jo muqaddar mein tal nahi saktaHar aik gaam pay kaanton ka saamna to hai Chuna jo rasta, rasta badal nahi saktaMein bhook jheel ke faqon se mar to sakta hoon Milein jo bheek mein tukron pay pal nahi sakta
Gaya jahan se adna ya koi aala gaya Kisi ka gham bhi kahan der tak sanbhala gayaSaleeqa is mein mujhe ik zara dikhe to sahi Kaha jo kaam hamesha woh kal pay taalla gaya
Bta to di hai magar zeisat baar jaisi thi Tamam umar meri intezaar jaisi thiHayaat kya thi, faqat inteshaar mein guzri Gahe thi zakham si gaahay qarar jaisi thiMila hoa meri chaye mein raat kuchh to tha Ke shab gaye meri haalat khumar jaisi thi
Mujhe aisay tumhe na aazmana chahiye tha Bta kar hi tumahray shehar aana chahiye thaMere har har qadam par shak ki nazrain hain tumhari Tumhe to rothney ka bas bahana chahiye thaMere bachay gaye hain kal se picnic ka bta kar Nahi aaye abhi tak, un ko aana chahiye tha
Khizaan khareed ke laaye hain us ka sood bahar Magar labon pay rakhi uss ke bawajood baharNazar mein saya tha woh bhi hoa hai ab madoom Kahin samood hai yaar o kahin pay hood baharFarakh dil thay jo kchche gharon mein rehtay thay Chaman mein bachpana khushbu tha khail kood bahar
Tha be sakt hua main uchala gaya tha jab Be rozgaar ghar se nikala gaya tha jabNakamiyoo ne mujh mein barri toar phor ki Mehroomion ki goad mein dala gaya tha jab
Yaqeen nahi to mohabbat ko aazmaata ja Luta khuloos, wafaon ke geet gaata jaTaqaza tujh se agar kar rahi koi mumtaz Dil aagrah hai mehal iss pay too banata ja
Ae khuda ab to mera tu hi bharam qaim rakh Meri aankhon ko nami di hai to num qaim rakhSar khameeda hai tree samnay aur yun hi rahay Ijz barhta hi rahay, iss mein yeh kham qaim rakh
Tamam umar jisay mein ne aitbaar diya Dagha se tum ne bayak lakht us ko maar diyaWafayen di hain usay mein ne umar bhar lekin Silay mein us ne faqat mujh ko intezaar diya
Showing 20 of 47