Jinn o insaan aik sath

zulm-ihsaas-ghazal

Bas rahay hain is nagar mein jinn o insaan aik sath
Yeh riwayat chal pari hai zulm o ihsaas aik sath

Ab tawaqqa hum se rakhna kher khawahi ki abas
Hum ne saaray toar daaley ehad o paimaan aik sath

Chhaa gayi hai zindagi par ab to fasal ranj o gham
Jheltay hain zakham dauraa, qaid zandan aik sath

Bil yaqeen hon ge muyassar, thay naseeboon mein agar
Jaam o maina aur yaaro bazm-e randaan aik sath

Unglio par log misrey maapty rehtay hain kya
Faalan ya faailytan sab pareshaa aik sath

Kuch ghalat karne ko thay lekin khuda ka fazl hai
Ghar ko lautay saaye do ho kar pasheman aik sath

Ik taraf to paon ki zanjeer ban kar reh gayi
Doosray dil ko dasay zulf paresha aik sath

Kya maza hai zindagi ka jab talak la-haq nahi
Fikar dauraa aur thori fikr-e janan aik sath

Laaj se hasrat tumhe kuch vaastaa hai ya nahi
Kya rakho ge dil mein ab asnaam o aymaan aik sath ?

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments