Mujh pay itnay sitam kya na karo

Mujh pay itnay sitam kya na karo
Ae zindagi mujhe ruswa na karo
Haqeeqat khulay gi kabhi na kabhi to
Khilaaf mere abhi koi faisla na karo
Read More […]
Mujh pay itnay sitam kya na karo
Ae zindagi mujhe ruswa na karo
Haqeeqat khulay gi kabhi na kabhi to
Khilaaf mere abhi koi faisla na karo
Read More […]
Mein tairay sang abhi aur chal nhِin sakta
Lِkha gaya jo muqaddar mein tal nahi sakta
Har aik gaam pay kaanton ka saamna to hai
Chuna jo rasta, rasta badal nahi sakta
Mein bhook jheel ke faqon se mar to sakta hoon
Milein jo bheek mein tukron pay pal nahi sakta
Read More […]
Ghar mein rehtay hue gheiron ki tarhan hoti hain
Larkiyan dhaan ke poudoun ki tarhan hoti hain
Urr ke ik roz bohat daur chali jati hain
Ghar ki shaakhon pay yeh chiryon ki tarhan hoti hain
Sehmi sehmi hui rehti hain makaan dil mein
Aarzoyeen bhi gharebon ki tarhan hoti hain
Read More […]
Apne halaat ko kaisay kaisay jiya mein ne
Woh jo dard tha tera kaisay kaisay piya mein ne
Zindagi bhallay ik taweel raah thi meri
Magar teri zaat ki khatir jiya mein ne
Woh jo umar thi teri mera pasban thi
Kya tha jo supurd tairay khud ko haraya tha mein ne
Chala tha jo teri over chorra tha sab kuch
Yaqeen jano nahi dekha tha naffa o nuqsaan mein ne
Read More […]
Gaya jahan se adna ya koi aala gaya
Kisi ka gham bhi kahan der tak sanbhala gaya
Saleeqa is mein mujhe ik zara dikhe to sahi
Kaha jo kaam hamesha woh kal pay taalla gaya
Read More […]
Chalay jo mukhalif koi mere hamrah
To ahbaab mere kahin mujh ko shatah
Suno mere ahbaab ik baat meri
Munasib hai mil kar chalein jab ho yak-rah
Yeh tana zani tum jo karte ho mujh par
Tumahray liye kab bana hon mein sarwah
Read More […]
Halaat o waqeat ne zee hosh kar diya
Phir khud ko pum ne aap hi ro posh kar diya
Aisa nah ho kahin ke ho hungama ik khara
Aisay mein dil shakista ko khamosh kar diya
Rishta nah tha ke jaisay talluq nah tha koi
Apnon ne mujh ko aisay faramosh kar diya
Read More […]
Kuch admi hi yaar banane ke liye hote hain
Baqi saaray ilaqa barhaane ke liye hotay hain
Hum aisay log kaisay reh satke hain dil mein tairay
Hum aisay dasht mein hi thikaane ke liye hotay hain
Janan gharon ko aag nahi hain lagaya karte
Dil aur jaan se yeh basanay ke liye hotay hain
Read More […]