Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli

So Jatay Hain Foot Path Pay Akhbar Bichaa Kar
Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khatay
So Jatay Hain Foot Path Pay Akhbar Bichaa Kar
Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khatay
Matti Ka Badan Kar Diya Matti Ke Hawalay
Matti Ko Kahin Taaj Mehal Mein Nahi Rakha
Bachon Ki Fee Un Ki Kitaaben Qalam Dawaat
Meri Ghareeb Aankhon Mein School Chubh Gaya
Dolat Se Mohabbat To Nahi Thi Mujhe Lekin
Bachon Ne Khilonon Ki Taraf Dekh Liya Tha
Mein Ne Kal Shab Chahatoon Ki Sab Kitaaben Phaar Den
Sirf Ik Kaghaz Pay Likha Lafz Maa Rehne Diya
Mein Duniya Ke Miyaar Pay Pura Nahi Utra
Duniya Mere Miyaar Pay Puri Nahi Utri
Tumhare Shehr Mein Mayat Ko Sab Kandha Nahi Dete
Hamare Gaon Mein Chapar Bhi Sab Mil Kar Uthate Hain