Mein tairay sang abhi aur chal nhِin sakta
Lِkha gaya jo muqaddar mein tal nahi sakta
Har aik gaam pay kaanton ka saamna to hai
Chuna jo rasta, rasta badal nahi sakta
Mein bhook jheel ke faqon se mar to sakta hoon
Milein jo bheek mein tukron pay pal nahi sakta
Qisam jo khayi to mar kar bhi laaj rakh lon ga
Ke raaz dost ka apne ugal nhِin sakta
Bhallay ho jism pay poshak khasta haal magar
Libaas tan pay mohabbat ka gul nahi sakta
Zamee pay fasal suron ki ugane chal to diye
Magar yeh poda kabhi phool phal nahi sakta
Rakhi khuda ne koi siil si mere seenay mein
So iss mein pyar ka jazba machal nahi sakta
Woh aur log thay roshan hain turbatain jinn ki
Diya mazaar pay mere to jal nahi sakta
Rasheed sadme kayi hans ke jheel sakta hon
Kisi kalie ka magar dil masal nhِin sakta
Rasheed hasrat