246 poems · 41 poets
Ghar mein rehtay hue gheiron ki tarhan hoti hain Larkiyan dhaan ke poudoun ki tarhan hoti hainUrr ke ik roz bohat daur chali jati hain Ghar ki shaakhon pay yeh chiryon ki tarhan hoti hainSehmi sehmi hui rehti hain makaan dil mein Aarzoyeen bhi gharebon ki tarhan hoti hain
Apne halaat ko kaisay kaisay jiya mein ne Woh jo dard tha tera kaisay kaisay piya mein neZindagi bhallay ik taweel raah thi meri Magar teri zaat ki khatir jiya mein neWoh jo umar thi teri mera pasban thi Kya tha jo supurd tairay khud ko haraya tha mein neChala tha jo teri over chorra tha sab kuch Yaqeen jano nahi dekha tha naffa o nuqsaan mein ne
Gaya jahan se adna ya koi aala gaya Kisi ka gham bhi kahan der tak sanbhala gayaSaleeqa is mein mujhe ik zara dikhe to sahi Kaha jo kaam hamesha woh kal pay taalla gaya
Chalay jo mukhalif koi mere hamrah To ahbaab mere kahin mujh ko shatahSuno mere ahbaab ik baat meri Munasib hai mil kar chalein jab ho yak-rahYeh tana zani tum jo karte ho mujh par Tumahray liye kab bana hon mein sarwah
Halaat o waqeat ne zee hosh kar diya Phir khud ko pum ne aap hi ro posh kar diyaAisa nah ho kahin ke ho hungama ik khara Aisay mein dil shakista ko khamosh kar diyaRishta nah tha ke jaisay talluq nah tha koi Apnon ne mujh ko aisay faramosh kar diya
Kuch admi hi yaar banane ke liye hote hain Baqi saaray ilaqa barhaane ke liye hotay hainHum aisay log kaisay reh satke hain dil mein tairay Hum aisay dasht mein hi thikaane ke liye hotay hainJanan gharon ko aag nahi hain lagaya karte Dil aur jaan se yeh basanay ke liye hotay hain
Bta to di hai magar zeisat baar jaisi thi Tamam umar meri intezaar jaisi thiHayaat kya thi, faqat inteshaar mein guzri Gahe thi zakham si gaahay qarar jaisi thiMila hoa meri chaye mein raat kuchh to tha Ke shab gaye meri haalat khumar jaisi thi
Husn o doulat hain aarzi aakhir Khaak honi hai dilkashi aakhirNaam, mansab, urooj, shohrat bhi Sab yeh hotay hain mousmi aakhirKyun ranjida ho unkay jane par Panchhi hotay hain hijarti aakhir
Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein Diye jal rahay hain umeed-e sehar meinBohat se kathan rastay hain magar tum Charaghoon ko bujhnay nah dena nagar meinBatati hai be chain palkon ki uljan Dareechay khulay hi rahay raat bhar mein
Aaya hai to ruk bhi ja, jaan-e jigar baat kar Aa ab sukhan aazma, ab raat bhar baat karIk raat ki baat hai, barsaat ki raat hai Daikhon tri reh guzar, to hai kidhar baat karTo kyun hai mujh se khafa, yeh raah hai kyun judda Tairay liye hi hua mein dar badar baat kar
Hamein be feham jahan walay shah kehte hain Hamaray paas hai kya khwamkhwa kehte hainZara se log to aalam panah kehte hain Kabhi kabhi nahi kehte wagerna kehte hainBarray ajab hain marey shehar ke sukhan parwar Meri har aik hamaqat pay wah kehte hain
Mujhe aisay tumhe na aazmana chahiye tha Bta kar hi tumahray shehar aana chahiye thaMere har har qadam par shak ki nazrain hain tumhari Tumhe to rothney ka bas bahana chahiye thaMere bachay gaye hain kal se picnic ka bta kar Nahi aaye abhi tak, un ko aana chahiye tha
Gharz parasti mein had se guzar nahi jana Mujhe bigaar ke tum khud sanwar nahi janaO shoq o naz se zulfein sanwarnay walay Meri hayaat ki manind bikhar nahi janaBohat se log meri zindagi mein aaye, gaye Meri nigah se tum bhi utar nahi janaMunafiqon mein rahen ge to kaisay guzray gi Yeh janna tha zaroori magar nahi jana
Koi ehley nazar nahi lagta Is liye mooatbar nahi lagtaSab diye hum ne khud bujha daaley Ab hawaon se dar nahi lagta
Jo shehr-e dil mein yeh fitnah fasaad baqi hai Yun lag raha hai tri koi yaad baqi haiMein shayron mein saraha gaya hon khoob magar Tri taraf se jo milni hai daad baqi hai
Ye jo deewany se do chaar nazar atay hain Un mein kuch sahib asaraar nazar atay hainTeri mehfil ka bharam rakhtay hain so jatay hain Warna yeh log to bedaar nazar atay hain
Tha be sakt hua main uchala gaya tha jab Be rozgaar ghar se nikala gaya tha jabNakamiyoo ne mujh mein barri toar phor ki Mehroomion ki goad mein dala gaya tha jab
Hajhoom shehar se hatt kar, hudood shehar ke baad Woh muskura ke miley bhi to kon daikhta hai?Jis aankh mein koi chehra nah koi aks talab Woh aankh jal ke bujhe bhi to kon daikhta hai?
Ab chalay bhi aao, ke shaam dhalnay lagi hai Aftaab dhalnay ko hai, aur shama julne lagi haiIk umeed laga betha hon, tujh se milnay ki mein Fursat miley to aa jana, warna tanhai liptaine lagi hai
Yaqeen nahi to mohabbat ko aazmaata ja Luta khuloos, wafaon ke geet gaata jaTaqaza tujh se agar kar rahi koi mumtaz Dil aagrah hai mehal iss pay too banata ja
Showing 60 of 246