Alwidah Dost

urdu sad ghazal

Apne halaat ko kaisay kaisay jiya mein ne
Woh jo dard tha tera kaisay kaisay piya mein ne
Zindagi bhallay ik taweel raah thi meri
Magar teri zaat ki khatir jiya mein ne
Woh jo umar thi teri mera pasban thi
Kya tha jo supurd tairay khud ko haraya tha mein ne
Chala tha jo teri over chorra tha sab kuch
Yaqeen jano nahi dekha tha naffa o nuqsaan mein ne
Bujha sun-hwa diya hon zara laaj rakhna
Diye thay jo wastay kin kin rafaqaton ke mein ne
Majabuuriyon ke auz ki thi jo tum ne mohabbat
Qayamat thi hoy barpaa jisko saha tha mein ne
Jaanta hon sab mera hi qasoor niklay ga! Laziman
Yahan dhullay hain sab log jo dekha tha mein ne
Alfazo ki bheer mein mere lafz jo adhooray thay
Jo tujh se kehna zaroori thay jo aakhri waqt bataya tha mein ne
Is ne chorra tha apni anaa hi ki khatir
Barha tha ’alvidah’ kehnay to jhulsaaye thay haath mein ne
Faqat kaha tha jane walon ko sadayen nahi deta koi asad
Mein bhi tujh sa tha! ke murr kar nahi dekha mein ne

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments