The ghazal
Read it in Urdu script-
Halaat o waqeat ne zee hosh kar diya Phir khud ko pum ne aap hi ro posh kar diya
-
Aisa nah ho kahin ke ho hungama ik khara Aisay mein dil shakista ko khamosh kar diya
-
Rishta nah tha ke jaisay talluq nah tha koi Apnon ne mujh ko aisay faramosh kar diya
-
Duniya meri ujaarr ke sab surkhuru hue Mujh ko har aik gham se subukdosh kar diya
-
Anwar hum apne haal se waaqif nah phir hue Aisay sitam zareefon ne madhosh kar diya


