246 poems · 41 poets
Kuch karna chaho to darna warna kaisa Yaqeen ka bas ik diya jalana parta haiIk sifar laganay se cheezon ki qeemat bhi barh jati hai Apni qeemat badhaane ko bhi sifar lagana parta hai
Samajhney se nah samjhane se ho ga Moamma hal tre anay se ho gaHatheli par koi jaan le ke aaye Mumkin yeh divanay se ho ga
Bhichar ke tujh se ae sanam jo shaad ho sakay nhِin Hazaar shukar teri aankh ke diye bujhe nahiAnaa ki daud mein sada ko paish paish hmm rahay Yeh apne haath ka likha, gilah naseeb se nahiKisi ke hijar mein mujhe ik aisa moujza hua Khizaa mein rakh rahay thay jo ab aisay silsilay nhِinLikhay hain lafz jo faqat usi ke naam ke likhay Usi ke naam ke hain harf jo abhi likhay nahi
Go par to nahi phir bhi azad nahi karna Na shaad rakho mujh ko tum shaad nahi karnaQad kaath agar do ge, samjhun ga tumhe bona Bona hi rakho mujh ko shamshad nahi karna
Agarchay dushwar tha magar zair kar liya tha Anaa ka rasta sahal samajh kar jo sir liya thaWoh kahkashaon ki had se agay kahin basa he Talabb mein jiss ki zamee pay boseedah ghar liya tha
Dekho to mere dil pay yeh jo chaala hoa hai Iss wastay to pyar ko bhi taalla hoa haiHaan kar do meri jaan agar aaya hai rishta Aur larka bhi to dekha hoa, bhaala hoa hai
Mein hoon zarraa too agar aftaab apne liye Tairay sapnay hain, mere tootay se khawab apne liyeMein ne socha hai kisi roz chaman ko ja kar Chuun ke lau ga koi taaza ghulaab apne liye
Koi nai chout phir se khao! Udaas logo Kaha tha kis ne, ke muskuraao! Udas logoGuzr rahi hain gali se, phir maatami hawae Kiwar kholo, diye bujhaao! Udas logo
Hum ne sab shair mein sanware thay Hum se jitne sukhan tumahray thayRang o khushbu ke husn o khoobi ke Tum se thay jitne istaaray thay
Mere paiker mein teri zaat ki tanseeb lazim hai Bohat bikhra howa hon mein, aur ab tarteeb lazim haiAjab waadi hai wehshat ki, atti hai dhool nafrat ki Ghar ko ghar bananay ko, nai tarkeeb lazim hai
Gurbat ne cheenney sengaar kaisay kaisay Aur phir dukhaay mujhe daar kaisay kaisayAik teri khatir mere yaar mein ne Dil pay khaye hain waar kaisay kaisay
Kabhi bula ke kabhi paas ja ke dekh liya Fason e soze daroon aazma ke dekh liyaBitha ke dil mein tumhe baar-ha namaz parhi Tumahray ghar hi ko kaaba bana ke dekh liya
Sochta hon woh ab kisay khafa karti hogi Meri terhan majabuuriyon se wafa karti hogiJab tak shaamil hon is ki aarzoo mein Mujhe yaqeen hai woh zindagi ki dua karti hogi
Yeh fakhr to haasil hai buray hain ke bhallay hain Do chaar qadam hum bhi teray sath chalay hainJalna to charaghoon ka muqaddar hai azal se Yeh dil ke kanwal hain ke bujhe hain nah jalay hain
Rudaad mohabbat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye Do din ki musarrat kya kahye kuch yaad rahi kuch bhool gayeJab jaam diya tha saqi ney jab daur chala tha mehfil mein Ik hosh ki saa-yat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Sawal yeh hai jo cheez jaisay dikhti hai Usay waisay hi paish kyun nah kya jayeApne andar dabe awazon ko Bahar kyun nah laya jaye
Mujh mein hain khamiyan yeh bta rahay hain Andhay mujhe aaina dikha rahay hainZulm hai ke khail qood ki umar mein Bachay baston ka boojh utha rahay hain
Bohat jee chahta hai cheekhon aur chlaon mein Magar dimagh kehta hai had mein reh jaoon meinSochta hon kisi din keh dun usay dil ki baat Par zabaan kehti hai chup reh jaoon mein
Aik hi geet lab pay subah o shaam hai Aur is geet mein bas tra naam haiIs mein zarra barabar sadaqat nahi Be wafaon ka mujh pay jo ilzaam hai
Mohabbat mein dagha dun ga, kabhi tum sochna mat yeh Tumhen ik dِn bُhla dun ga, kabhi tum sochna mat yehMeri jitni mohabbat hai, sabhi teri amanat hai Mein chahat yeh ghata dun ga, kabhi tum sochna mat yehMohabbat se tumhen mil ke, kisi mourat ko mein dil ke Mandir mein saja dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Showing 100 of 246