Kuch admi hi yaar banane ke liye hote hain
Baqi saaray ilaqa barhaane ke liye hotay hain
Hum aisay log kaisay reh satke hain dil mein tairay
Hum aisay dasht mein hi thikaane ke liye hotay hain
Janan gharon ko aag nahi hain lagaya karte
Dil aur jaan se yeh basanay ke liye hotay hain
Halat gardish-e dauraa sab ko nahi batatay
Sab aadmi khaan dil ki sunanay ke liye hotay hain
Har car mein to kaam nahi aati sakht mehnat
Kuch kaam qismatein azmaane ke liye hotay hain
Is dasht ke ashaaq nahi bantay majnu tahir
Yeh bas sukhan hi suneney sunanay ke liye hotay hain
️Pholon ko kon rakhta hai sir pay saja ke tahir
Yeh becharay peeron taley anay ke liye hotay hain
Tahir mukhtar tahir