Gaya jahan se adna ya koi aala gaya

rasheed hasrat ghazal

Gaya jahan se adna ya koi aala gaya
Kisi ka gham bhi kahan der tak sanbhala gaya

Saleeqa is mein mujhe ik zara dikhe to sahi
Kaha jo kaam hamesha woh kal pay taalla gaya

Qasoor ho ga tumhara bhi kuch nah kuch gudiya
Sabab to hai jo tumhe ghar se yun nikala gaya

Pujari maal ke aisay ke jaisay malaa ho
Jahan bhi chaand gaya sath uss ka haala gaya

Kaha tha mein ne ke ghar se utaar lo jala
Makan mein ab hai andhera woh sab ujala gaya

Tarap, judai, mohabbat, jamal, zebaaie
Najane kon se sanchon mein dil ko dhala gaya

Rasheed kaahe ki yeh panja aazmai hai ?
Kabhi singhar se dekha ke rang kala gaya ?

Poet: Rasheed Hasrat

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments