Tere Dil Mein Is Bhane Aye

tere-dil-mein-urdu-poetry

Ham Tere Dil Mein Is Bahane Aye
Kya Bhana Tha Dil Tum Se Lagane Aye

Tumhain Maloom Ho Na Paya Hamari Aamid Ka Sabab
Apni Khawhish Thi Ke Hosh Thkane Aye

Mudat Se Tashngi Thi Tum Se Baat Karne Ki
Bare Dino Baad Aaj Ye Piyas Ham Bhujane Aye

Raat Ko So Na Sake Din Ko Bechain Rahe
Neend Bhejo Ke Wo Hmain Aa Ke Sulane Aye

Jab Shayari Karte Ho Tu Pyari Karte Ho
Ye Baat Kon Asghar Ko Samjhane Aye

Submitted By: m.asghar mirpuri

Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko

ibn-e-insha-ghazal

Hum Log Tu Zulmat Mein Jene K Bi Aadi Hain
Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain
Ik Yaad Pey Aahon Ka Tufan Umadta Hoa Aata Hai
Ik Zikar Pey Ab Dil Ko Thama Nahi Jata Hai
Ik Naam Pey Aankhon Mein Aansoo Chale Aate Hain
Ji Ham Ko Jilata Hai Ham Ji Ko Jilaty Hain
Ham Log Tu Mudat Se Awar O Heran They
Us Shakhs Ke Geso Kab Is Tor Preshan They
Ye Shakhs Ae Dil Mgar Pardes Suhare Ga
Ye Dard Hmain Jane Kis Ghat Utare Ga
Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko
Han Ja Ke Mubarak Do Phir Najad Mein Yaaron Ko

Poet: Ibn e Insha

Jawab Do

jawab-do

Tum Kun Bane They Dil Ka Sahara, Jawab Do
Ab Kahan Hai Wo Pyar Tumhara, Jawab Do
Kis Ko Tha Naaz Apni Adaon Pe Har Ghari
Kis Ne Kia Wafa Se Kinara, Jawab Do
Ham To Seh Na Sake Gain Judai Ka Gham
Ye Qol Tha Mere K Tumhara, Jawab Do
Ik Taraf Zindagi, Ik Taraf Mot Hai
Ab Kis Taraf Karo Ge Ishara, Jawab Do