The ghazal
Read it in Urdu script-
Dil To Wo Barg-e Khazan Hai K Hawa Le Jaye Gham Wo Aandhi Hai Ke Sehra Bi Ura Le Jaye
-
Kon Laya Teri Mehfil Mein Hamain Hosh Nahi Koi Aye Teri Mehfil Se Utha Le Jaye
-
Aur Se Aur Hoye Jate Hain Myar-e Wafa Ab Mita-e Dil O Jan Bhi Koi Kya Le Jaye
-
Jane Kab Ubrhe Teri Yaad Ka Doba Hoya Chand Jane Kab Dhayan Koi Ham Ko Ura Le Jaye
-
Yehi Awargi Dil Hai Tu Manzil Maloom Jo Bi Aye Teri Baaton Mein Laga Le Jaye
-
Dasht-e Ghurbat Mein Tumhain Kon Pukare Ga Faraz Chal Paro Khud Hi Jidhar Dil Ki Sada Le Jaye



