Kaghaz Pe Utari Ghazalain

ghazalain

Kabi Yun Bi Ham Ne Kaghaz Pe Utari Ghazalain
Qalam Ro Dya Tu Hans Pari Sari Ghazalain

Ham Ne Apne Hunr Ko Bohat Dair Tak Aazmaya
Jete Tum Hi Aakhir Aur Hari Ghazalain

Maktab-e Ishq Ki Ye Baat Tumhe Samaj Nahi Ayi
Lazmi Tum Hi Thay, Thi Ikhtiari Ghazalain

Mudaton Se Yahain Aalam Hai Mere Shehr Main
Na Hi Halat Badle Hain Na Hamari Ghazalain

Ye Safr-e Qalam Mera Rang Laye Ga Ik Din
Ghulam Likhta Rahon Ga Yun Hi Bedari Ghazalain

Submitted By: Mian Ghulam Murtaza Kamboh

Sapny Bunanay Ka Hisab

Sapnay Bunanay Ka Hisab Rakha Hai
Dard Ke Sehne Ka Azab Rakha Hai

Sawan Ki Raat Mai Juno Ka Lamha
Jalti Aankhon Mai Khwab Rakha Hai

Judai Ka Mosam Aur Aziat Ki Barish
Ham Ne Murjaya Hoa Gulab Rakha Hai

Nidhal Subah Mai Be Basi Ka Sawal
Dil Ke Khane Mai Jwab Rakha Hai

Rooye Chand Pe Hai Husn Ki Chilman
Raat Ne Chehre Pe Niqab Rakha hai

ubmitted By: Shabeeb Hashmi