Sanam Pochta Nahi Haal Mera

ashgar-ghazal-poetry2

Sanam Pochta Nahi Haal Mera
Jeena Hua Jata Hai Mahal Mera

Kabi Mere Bhi Din Badlen Gey
Kisi Din Usay Aye Ga Khayal Mera

Agar Us Ke Taghaful Ka Yehi Aalim Raha
Phir Tanha Guzre Ga Naya Saal Mera

Ab Tu Usay Milne Ki Hajat Nahi Rahi
Us Ki Judai Ban Gyi Hai Wisal Mera

Submitted By: M. Asghar Mirpuri

Na Aya Hun Na Mein Laya Gya Gun – Ghazal

Na Aya Hun Na Mein Laya Gya Gun
Mein Harf Kun Hun Farmaya Gya Hun

Meri Apni Nahi Koi Sorat
Har Ik Sorat Se Behlaya Gya Hun

Bohat Badle Mere Andaz Lekin
Jahan Khoya Wahen Paya Gya Hun

Wajod E Ghair Ho Kese Gawara
Teri Rahon Mein Be Saya Gya Hun

Na Jane Kon Si Manzil Hai Wasif
Jahan Nehla Ke Blwaya Gya Hun

Poet: Wasif Ali Wasif

Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi Dena

Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi, Bhuja Bhi Dena
Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi Dena

Kia Kahon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Us Ki
Naam Likhna Bhi Mera, Likh Ke Mita Bhi Dena

Phir Na Milne Ko Bicharta Tu Hon Tuj Se Lekin
Mur Ke Dekhon Tu Paltne Ki Dua Bhi Dena

Khat Bhi Likhna Use, Mayus Bhi Rehna Us Se
Jurm Karn Abhi Mgar Khud Ko Saza Bhi Dena

Muj Ko Rasmo Ka Tsawur Bhi Gwara Lekin
Jee Mein Aye To Ye Dewar… Gira Bhi Dena

Use Se Mansoob Bhi Kar Lena Purane Qisay
Us Ke Balon Mein Naya Phol Saja Bhi Dena

Sorat Naqsh E Qadam Dasht Mein Rehna Mohsin
Apne Hone Se Na Hone Ka Pta Bhi Dena

Ishq Main Toot Gya

Jab Sunta He Nahi Wo Ham baat Kya Karen
Bewaja yahan us Se Sawalat Kya Karen
Usay Gila hai Ham Usay Yaad Nahe Krty
Bholty he Nahe Jo Unhy Yaad kya karen
Jab Saans Ka Aana He Dushwaar Ho Gya
Saqi Ayse Main Ham Ah-o-Pukar Kya Karen
Nazuk Dil Tha Apna Anjam-e-ishq Main Toot Gya
Kaise Howa Ye Hadsa Sar-e-aam Iqrar Kya Karen
Sab Kuch To Lut Gya Apna Ishq Wafa Main
Ab Tumhe Batao Gaye Maal Ka Hisaab Kya Karen
Ham Ne To Tarap Main Kaha Marr Gaye Touseef
Wo Ye Keh Kar Palat Gaye Ab Mulaqat Kya Karen

Submitted By: Touseef Mahe

Ajnabi Galiyun main

Shehr Ki Ajnabi Galiyun Main
Meri Mohabat Mujh Se Kho Gai

Tou Mujh Se Bechar Gya Kahen
Main Tanha Tanha C Ho Gai

Jab Dekha Kisi Ko Kisi K Saath
Main Tuje Yaad Kr Ky Ro Gai

Teri Judai Main Yun Barsen Aankhen
Ky Barssat Mera Daman Bheego Gai

Mujhe Ab Kisi Se Kya Gila Karna Touseef
Jab Khud Meri Qismat He So Gai

Submitted By: Touseef Mahe

Gar pyar jo karo is zamany main tum

Gar pyar jo karo is zamany main tum
Behtar hai chalti hawao se karo

Is hawas ki duniya main pyar nahi hai
Nazar jo aata hai insaa wo insaa nahi hai

Gar acha lagy koi to keh dena us se
Is duniya main pyar nahi hai, Mughe hona barbad nahi hai

Meri baat tum mano pyar na karna
Gar payar karo to hawao se karna

Jana payas bujhany ko pyar nahi kehty
Do jismon ke mail ko pyar nahi kehty

Yun payar ke lafz ko barbad na karna
Is duniya main tum pyar na karna

Gar pyar karo to hawao se karna
Na jany wali bahar se karna

Submitted By: Ahsan Mahmood

Teri Yaad Mein Aankhein Roti Hain

nazam

Mein Ne Kaha Teri Yaad Mein Aankhein Roti Hain
Jawab Aya Ye Isi Tarah Saaf Hoti Hain

Pocha Dard Hijar Ka Koi Ilaj Btaye
Jawab Aya Wasal Ho Ga Isi Tarah Rote Jaye

Mein Ne Kaha Ab Aankhon Ke Sath Dil Bi Rota Hai
Jawab Aya Aashiqon Ke Sath Aksar Yahi Hota Hai

Mein Ne Kaha Raat Ko Aanson Se Takye Bheg Jate Hain
Jawab Aya Chalo Isi Bahane Ham Tumhain Yaad To Aate Hain

Mein Ne Kaha Teri Mohabat Meri Zindagi Bhar Ki Kamayi Hai
Jawab Aya To Mahir E Mubalgha Arayi Hai

Mein Ne Kaha Meri Mushkilat Ka Koi Hal Btaye
Jawab Aya Asghar Khuda Ke Liye Bhol Jaye

Submitted By: m.asghar mirpuri