The ghazal
Read it in Urdu script-
Qarz-e Nigah-e Yaar Ada Kar Chuke Hain Ham Sab Kuch Nisar Rah-e Wafa Kar Chuke Hain Ham
-
Kuch Imtihan-e Dast-e Jafa Kar Chuke Hain Ham Kuch Un Ki Dastras Ka Pta Kar Chuke Hain Ham
-
Ab Ihtiat Ki Koi Soorat Nahi Rahi Qatal Se Rism O Rah Sawa Kar Chuke Hain Ham
-
Dekhein Hain Kon Kon Zroorat Nahi Rahi Koye Sitam Mai Sab Ko Khafa Kar Chuke Hain Ham
-
Ab Apna Ikhtiar Hai Chahain Jahan Chalain Rehbar Se Apni Rah Juda Kar Chuke Hain Ham
-
Un Ki Nazar Mai Kya Krain Pheka Hai Ab Bi Rang Jitan Lahu Tha Sarf-e Qaba Kar Chuke Hain Ham
-
Kuch Apne Dil Ki Kho Ka Bi Shukrana Chahiye Soo Baar Un Ki Kho Ka Gila Kar Chuke Hain Ham



