Skip to content
SadPoetry
EN

Ishq Main Toot Gya

Ghazal 6 couplets
Share
Make a card
  1. Jab Sunta He Nahi Wo Ham baat Kya Karen Bewaja yahan us Se Sawalat Kya Karen

  2. Usay Gila hai Ham Usay Yaad Nahe Krty Bholty he Nahe Jo Unhy Yaad kya karen

  3. Jab Saans Ka Aana He Dushwaar Ho Gya Saqi Ayse Main Ham Ah-o-Pukar Kya Karen

  4. Nazuk Dil Tha Apna Anjam-e-ishq Main Toot Gya Kaise Howa Ye Hadsa Sar-e-aam Iqrar Kya Karen

  5. Sab Kuch To Lut Gya Apna Ishq Wafa Main Ab Tumhe Batao Gaye Maal Ka Hisaab Kya Karen

  6. Ham Ne To Tarap Main Kaha Marr Gaye Touseef Wo Ye Keh Kar Palat Gaye Ab Mulaqat Kya Karen

Submitted by Touseef Mahe

Report a mistake

More Ishq Shayari

See all