The ghazal
Read it in Urdu script-
Mein Ne Kaha Teri Yaad Mein Aankhein Roti Hain Jawab Aya Ye Isi Tarah Saaf Hoti Hain
-
Pocha Dard Hijar Ka Koi Ilaj Btaye Jawab Aya Wasal Ho Ga Isi Tarah Rote Jaye
-
Mein Ne Kaha Ab Aankhon Ke Sath Dil Bi Rota Hai Jawab Aya Aashiqon Ke Sath Aksar Yahi Hota Hai
-
Mein Ne Kaha Raat Ko Aanson Se Takye Bheg Jate Hain Jawab Aya Chalo Isi Bahane Ham Tumhain Yaad To Aate Hain
-
Mein Ne Kaha Teri Mohabat Meri Zindagi Bhar Ki Kamayi Hai Jawab Aya To Mahir E Mubalgha Arayi Hai
-
Mein Ne Kaha Meri Mushkilat Ka Koi Hal Btaye Jawab Aya Asghar Khuda Ke Liye Bhol Jaye
Submitted by m.asghar mirpuri


