The ghazal
Read it in Urdu script-
Ik Diya Dil Mein Jlana Bhi, Bhuja Bhi Dena Yaad Karna Bhi Usay Roz, Bhula Bi Dena
-
Kia Kahon Ye Meri Chahat Hai Ke Nafrat Us Ki Naam Likhna Bhi Mera, Likh Ke Mita Bhi Dena
-
Phir Na Milne Ko Bicharta Tu Hon Tuj Se Lekin Mur Ke Dekhon Tu Paltne Ki Dua Bhi Dena
-
Khat Bhi Likhna Use, Mayus Bhi Rehna Us Se Jurm Karn Abhi Mgar Khud Ko Saza Bhi Dena
-
Muj Ko Rasmo Ka Tsawur Bhi Gwara Lekin Jee Mein Aye To Ye Dewar… Gira Bhi Dena
-
Use Se Mansoob Bhi Kar Lena Purane Qisay Us Ke Balon Mein Naya Phol Saja Bhi Dena
-
Sorat Naqsh E Qadam Dasht Mein Rehna Mohsin Apne Hone Se Na Hone Ka Pta Bhi Dena



