Aik hum thay sir phiray

Aik hum thay sir phiray jo jal bujhe logon mein thay
Warna jis ko dekhte miyaar ke logon mein thay
Kon zalim hukmran ki baat ka deta jawab
Log jitne thay wahan sab sir katay logon mein thay Continue reading “Aik hum thay sir phiray”
Tamam umar ussay mujh se

Tamam umar ussay mujh se ikhtilaaf raha
Raha woh ghar mein mere par mere khilaf raha
Khabar nahi ke tre mann mein chal raha yai kya ?
Teri taraf se mera dil hamesha saaf raha Continue reading “Tamam umar ussay mujh se”
Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya

Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya
Apni kashti ka purana na khuda rehne diya
Loot ka tha maal aakhir baantna to tha zaroor
Hum ne apna le liya bakhra, tera rehne diya Continue reading “Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya”
Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey

Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey
Tumhe lena parre jo faisla woh zahn se lo gey
Pata kya waqt kaisa khail khailay, hum bhichar jayen
Kahan hon ge najane hum, najane tum kahan ho gey Continue reading “Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey”
Duniya ne tora kis tarhan

Kya bitayen dostoo duniya ne tora kis tarhan
Resha umeed se phir dil ko jora kis tarhan
Tum ne maazi ko kureda hai to phir itna kaho
Zakham ho ga mundamil, jaye ga phora kis tarhan? ? Continue reading “Duniya ne tora kis tarhan”
Woh mera dost mere haal se

Woh mera dost mere haal se aagah to ho
Na sahi sach mein magar khawab mein hamrah to ho
Kuch assar unn pay mere aah o faghan ka yaaro
Ho nah ho, phir bhi mere lab pay koi aah to ho Continue reading “Woh mera dost mere haal se”
Rozan-e Dewaar Main
Kuch nahi paaya hai hum ne iss bharay sansar mein
Phool se daman hai khaali gir chay hain gulzaar mein
Pِhr mohabbat iss terhan bhi imteha layte rahi
Jaib khaali le ke phirtay thay isay bazaar mein
Hum ne har har bil ke badlay khoo bahaya hai yahan
Tab kahin ja kar parre hain paich yeh dastaar mein Continue reading “Rozan-e Dewaar Main”
Gham ki kis shakal mein

Gham ki kis shakal mein tashkeel hui jati hai
Aadmiyyat ki bhi tazleel hui jati hai
Har qadam zeist chankti hai chanaka ban kar
Jiss terhan kanch mein tabdeel hui jati hai Continue reading “Gham ki kis shakal mein”