Chandni Cheenta

Mere honton se pehlay hansi cheenta
Phir mera dil, meri zindagi cheenta
Aur luttay ko hi paas kya tha mِre
Aankh mein reh gayi thi nami, cheenta Continue reading “Chandni Cheenta”
Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi

Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi
Hamein fanaa hai magar jawidaan to woh bhi nahi
Hamaray pyar ki nao phansi hai beech bhanwar
Bacha ke laaye koi badbaan to woh bhi nahi
Jo sach kahin to khizaa ourh ke bhi khush hain bohat
Nhِin ujaar magar gulisitan to woh bhi nahi Continue reading “Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi”
Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay

Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay
Khird se door tumhe aql-e khaam yaad rahay
Ada kiya to hai kirdaar shah zade ka
Magar ghulam ho, ibn-e ghulam yaad rahay
Abhi hain shall mere bazu so haath khech liya
Zaroor lon ga magar intiqam yaad rahay Continue reading “Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay”
Mein tairay sang abhi aur

Mein tairay sang abhi aur chal nhِin sakta
Lِkha gaya jo muqaddar mein tal nahi sakta
Har aik gaam pay kaanton ka saamna to hai
Chuna jo rasta, rasta badal nahi sakta
Mein bhook jheel ke faqon se mar to sakta hoon
Milein jo bheek mein tukron pay pal nahi sakta Continue reading “Mein tairay sang abhi aur”
Gaya jahan se adna ya koi aala gaya

Gaya jahan se adna ya koi aala gaya
Kisi ka gham bhi kahan der tak sanbhala gaya
Saleeqa is mein mujhe ik zara dikhe to sahi
Kaha jo kaam hamesha woh kal pay taalla gaya Continue reading “Gaya jahan se adna ya koi aala gaya”
Bta to di hai magar

Bta to di hai magar zeisat baar jaisi thi
Tamam umar meri intezaar jaisi thi
Hayaat kya thi, faqat inteshaar mein guzri
Gahe thi zakham si gaahay qarar jaisi thi
Mila hoa meri chaye mein raat kuchh to tha
Ke shab gaye meri haalat khumar jaisi thi Continue reading “Bta to di hai magar”
Mujhe aisay tumhe na aazmana chahiye tha

Mujhe aisay tumhe na aazmana chahiye tha
Bta kar hi tumahray shehar aana chahiye tha
Mere har har qadam par shak ki nazrain hain tumhari
Tumhe to rothney ka bas bahana chahiye tha
Mere bachay gaye hain kal se picnic ka bta kar
Nahi aaye abhi tak, un ko aana chahiye tha Continue reading “Mujhe aisay tumhe na aazmana chahiye tha”
Khizaan khareed ke laaye hain us ka sood bahar

Khizaan khareed ke laaye hain us ka sood bahar
Magar labon pay rakhi uss ke bawajood bahar
Nazar mein saya tha woh bhi hoa hai ab madoom
Kahin samood hai yaar o kahin pay hood bahar
Farakh dil thay jo kchche gharon mein rehtay thay
Chaman mein bachpana khushbu tha khail kood bahar Continue reading “Khizaan khareed ke laaye hain us ka sood bahar”