Tum se mohabbat hai, nahi to

Kab hum ne kaha tum se mohabbat hai, nahi to
Dil hijr se amaada wehshat hai, nahi to
Baatein to bohat karte hain hum kood uchhal kar
Iss ehad mein mazdoor ki izzat hai, nahi to Continue reading “Tum se mohabbat hai, nahi to”
Dekha hai jo ik mein ne wohi

Dekha hai jo ik mein ne wohi khawab bohat hai
Warna to wafa dostoo! Kamyaab bohat hai
Yeh dil ki zamee banjar o weraan pari thi
Thori si hui tujh se jo sairaab bohat hai Continue reading “Dekha hai jo ik mein ne wohi”
Wada karna bhi nahi
Wada karna bhi nahi tujh ko nibhana bhi nahi
Sab hai maloom tujhe lout ke aana bhi nahi
Rehne deta hi nahi to jo dron dil ab
Aur mere dil ke siwa koi thikana bhi nahi Continue reading “Wada karna bhi nahi”
Sunaoun ga tumhe ae dost

Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna
Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apna
Tumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai
Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna Continue reading “Sunaoun ga tumhe ae dost”
Ik shakhs ke jane se

Ik shakhs ke jane se badal jati hai duniya
Phir aah bhi karlo to machal jati hai duniya
Mein pyar ka taalib jo hoa ehley jahan se
Zardi si koi chehray pay mil jati hai duniya Continue reading “Ik shakhs ke jane se”
Tera pata mujh se pochti hain

Khamosh subahen, udas shaamein, tera pata mujh se poochti hain
Batau ab kya ke yeh fizayen palat ke kya mujh se poochti hain
Udas chiryen jo din ko danay ki khoj mein theen, hain lout aayi
Kahan he shaakh shajar ke jiss par tha ghonsla mujh se poochti hain Continue reading “Tera pata mujh se pochti hain”
Bank mein khata mohabbat ka

Bank mein khata mohabbat ka bhi khola jata
Ishq liezer ko har ik lamha tatola jata
Check bharta jo kabhi cash karanay ke liye
“Khatah khaali hai” barray pyar se bola jata Continue reading “Bank mein khata mohabbat ka”
Samajhney se nah samjhane se ho ga
Samajhney se nah samjhane se ho ga
Moamma hal tre anay se ho ga
Hatheli par koi jaan le ke aaye
Mumkin yeh divanay se ho ga Continue reading “Samajhney se nah samjhane se ho ga”