Kya bitayen dostoo duniya ne tora kis tarhan
Resha umeed se phir dil ko jora kis tarhan
Tum ne maazi ko kureda hai to phir itna kaho
Zakham ho ga mundamil, jaye ga phora kis tarhan? ?
Tum ne to had kar hi di hai zulm o istibdaad ki
Ik zara si baat par dil ko nichora kis tarhan
Apne apne zarf ki hai baat shikwah kya karen
Hum ne paaya kis terhan aur tum ne chorra kis tarhan
Ik tumahray hijr ki shab hai, guzarti hi nahi
Dorta hai wasal mein lamhoon ka ghora kis tarhan
Kash dil mein naram gosha rakh ke yeh pouchye koi
Waqt, zaadah kis terhan guzra hai, thora kis tarhan? ?
Uss ki nazron ke muqabil jam ke rehna hai muhaal
Aur samjhota kere ga dil nagora kis tarhan
Aik tufaan barh raha tha pream nagri ki taraf
Kya bitayen rukh hawa ka hum ne mora kia tarhan
Qurb ko hum ne tumahray jaan se rakha aziz
Phir bhi hasrat beech mein aaya wachora kis tarhan