Rozan-e Dewaar Main

Kuch nahi paaya hai hum ne iss bharay sansar mein
Phool se daman hai khaali gir chay hain gulzaar mein

Pِhr mohabbat iss terhan bhi imteha layte rahi
Jaib khaali le ke phirtay thay isay bazaar mein

Hum ne har har bil ke badlay khoo bahaya hai yahan
Tab kahin ja kar parre hain paich yeh dastaar mein

Zaiqoon se inn ke hum ko kuch nahi hai inhiraf
Sab se meetha phal hai lekin sabr sab asmaar mein

Charmiraaty sokhey pattoun par qadam rakhtay hue
Kho ke reh jatay hain maazi ki hsin mahkaar mein

Hum gali kochoon mein to dawa karen tahazeeb ka
Aur apne ghar rakhen maa baap ko azaar mein

Kya hi acha tha ke hum karte kisi nukty pay baat
Hum dukan daari lagatay hain faqat takraar mein

Kal tumahray paon chatain ge hamara kaam hai
Aaj hazir ho nhِin paye agar darbaar mein

Zaid ne logon mein bnta, aaj aatta, daal, ghee
Iss tawaqqa par ke ho gi kal khabar akhbar mein

Hum tumhari be zُbani se thay thora aashna
Khilkhilaati “Haan” chupi thi phusphusy ankaar mein

Jo sunay woh guftagu ka ban ke reh jaye aseer
Kaisa jadu rakh diya ik shakhs ne guftaar mein

Tha zamana woh tumahray naz ka, andaaz ka
Sharam ke maaray garhay parte tumhe rukhsar mein

Kaam kya aisa para hai, dhoondtay ho kِs liye
Hum se milna hai to phir dhundo hamein ashaar mein

Ik wafa ko chore kar tasweer mein sab kuch mila
Ae musawir reh gayi bas ik kami shahkaar mein

Jo hunar rakhta hai woh roti kama le ga zaroor
Dostoo taaqat barri rakhi gayi ozaar mein

Shairi to khaak kar len ge magar itna zaroor
Faiz ka sndis goya rosin deewar mein

Jiss ki marzi, jab, jahan, jaisi bhi mann maani kere
Ik zara sa dam kahan baqi raha sarkar mein

Kya haqeeqat poochtay ho, zindagi ik jabar hai
Dard ban kar khoon behta hai tre fankar mein

Hum agar tazleel ki zad mein hain to baaes hai yeh
Hal kabhi dhoonda nahi iqbal ke afkaar mein

Aaj apne fun ki logo qader daani kuch nahi
Kal hamein dhoonda karo ge tum qadeem assaar mein

Maslehat ka yeh taqaza tha ke hum ne maan li
Jeet posheeda kisi ki thi hamari haar mein

Aakhri shammen bhi ab to phrhphrha ke reh gayeen
Muntazir baithy hue hain hum yahan be car mein

Woh, taluq jis ki khatir sab se tora tha rasheed
Lo chala hai woh bhi hum ko chore kar aghyar mein

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments