Aik hum thay sir phiray jo jal bujhe logon mein thay
Warna jis ko dekhte miyaar ke logon mein thay
Kon zalim hukmran ki baat ka deta jawab
Log jitne thay wahan sab sir katay logon mein thay
Kon si basti hai yeh, hum kis nagar mein aa gaye?
Kal talak rangon mein thay hum phool se logon mein thay
Door rehtay thay magar woh phir bhi thay kitna qareeb
Kitna acha daur tha jab faaslay logon mein thay
Uss ne bastii chore di yeh faisla acha liya
Aisay ujley log hum se miljgy logon mein thay
Hum ne cheda tha tarannum mein koi meetha sa geet
Haan magar yeh tha ke hum kuch be suray logon mein thay
Neend aankhon se chura kar le gaya tha aik shakhs
Aik muddat se musalsal rat-jage logon mein thay
Jal rahi thi saari basti aur sab pooja mein thay
Khud pasandi ke kuch aisay silsilay logon mein thay
Qoum ki barbadiyon ka ik sabab yeh bhi rasheed
Zaat ki takmeel ke hi marhalay logon mein thay