The ghazal
Read it in Urdu script-
Woh mera dost mere haal se aagah to ho Na sahi sach mein magar khawab mein hamrah to ho
-
Kuch assar unn pay mere aah o faghan ka yaaro Ho nah ho, phir bhi mere lab pay koi aah to ho
-
Kab kaha mein ne talluq woh purana ho bahaal Bas dikhavy ko faqat tum se koi raah to ho
-
Jo mohabbat mein wafaon ko tadapta chhorey Phir tarasta hi rahay, pehlay ussay chaah to ho
-
Mein ne kab uss ki mohabbat ka kiya hai ankaar ? Uss taraf jata koi rasta ho, raah to ho
-
Tursh lehjey pay kabhi ghhor kiya hai tum ne Garam joshi nah sahi dil mein magar jah to ho
-
Kya hoa chaand agar apne tasarruf mein nahi Shak nahi iss mein mere wastay tum mah to ho
-
Aaj kuch aisa ada karna parre ga kirdaar Ho nah ho kuch bhi magar dost khud aagah to ho
-
Yeh wohi khanah bdoshon ka qabeela hai rasheed Deera daaley ga, wahan koi charagah to ho
Submitted by Rasheed Hasrat


