Gham ki kis shakal mein

ghazal shayari

Gham ki kis shakal mein tashkeel hui jati hai
Aadmiyyat ki bhi tazleel hui jati hai

Har qadam zeist chankti hai chanaka ban kar
Jiss terhan kanch mein tabdeel hui jati hai

Uss ke hissay ki zameenen bhi mere haath rahen
Mustaqil tor pay tehseel hui jati hai

Ab mِra uss se talluq bhi nahi hai koi
Aur ehkaam ki tameel hui jati hai

Mein ne khayi thi qisam kuch bhi ayaan ho ga nahi
Par bayan saari hi tafseel hui jati hai

Aur kُchh roz mera zarf kusha kash mein rahay
Iss bahanay mere takmeel hui jati hai

Sara dِn dhoop mein jalta hoon faqat roti ko
Zakham se peeth meri neel hui jati hai

Abrah ban ke nah kar mere haram par hamla
Be basi ab to ababeel hui jati hai

Kis takalouf se tera dard mere sath raha
Yaad ki ro hai ke tamseel hui jati hai

Ab to do waqt ki roti bhi missr hai kahan
Zindagi bhook mein tahleel hui jati hai

Mein samjhta tha ussay bhool gaya hon hasrat
Par chubhan dil mein mere keel hui jati hai

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments