Tha be sakt hua main

Tha be sakt hua main uchala gaya tha jab
Be rozgaar ghar se nikala gaya tha jab
Nakamiyoo ne mujh mein barri toar phor ki
Mehroomion ki goad mein dala gaya tha jab Continue reading “Tha be sakt hua main”
Yaqeen nahi to mohabbat ko aazmaata ja

Yaqeen nahi to mohabbat ko aazmaata ja
Luta khuloos, wafaon ke geet gaata ja
Taqaza tujh se agar kar rahi koi mumtaz
Dil aagrah hai mehal iss pay too banata ja Continue reading “Yaqeen nahi to mohabbat ko aazmaata ja”
Hamd

Ae khuda ab to mera tu hi bharam qaim rakh
Meri aankhon ko nami di hai to num qaim rakh
Sar khameeda hai tree samnay aur yun hi rahay
Ijz barhta hi rahay, iss mein yeh kham qaim rakh Continue reading “Hamd”
Faqat mujh ko intezaar diya

Tamam umar jisay mein ne aitbaar diya
Dagha se tum ne bayak lakht us ko maar diya
Wafayen di hain usay mein ne umar bhar lekin
Silay mein us ne faqat mujh ko intezaar diya Continue reading “Faqat mujh ko intezaar diya”
Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat

Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat
Kha gayi din ke ujaloon ko yahan chai raat
Shab ke daman mein faqat khawab hai mehroomi hai
Hum ko mafhom yeh samjhane chali aayi raat Continue reading “Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat”
Awam bhook se dekho

Awam bhook se dekho nidhaal hai ke nahi?
Har aik chehray se zahir malaal hai ke nahi?
Tamam cheezon ki qeemat barhai jati rahi
Ghareeb maarny ki iss mein chaal hai ke nahi? Continue reading “Awam bhook se dekho”
Jinn o insaan aik sath

Bas rahay hain is nagar mein jinn o insaan aik sath
Yeh riwayat chal pari hai zulm o ihsaas aik sath
Ab tawaqqa hum se rakhna kher khawahi ki abas
Hum ne saaray toar daaley ehad o paimaan aik sath Continue reading “Jinn o insaan aik sath”
Mehngai Bomb

Lanat ho hukmraanon ke aisay nizam par
Iflaas mantazar hai jahan gaam gaam par
Har roz qeematon mein izafah hai be panah
Joon tak bhi rengti nahi ibn-e ghulam par Continue reading “Mehngai Bomb”