Skip to content
SadPoetry
EN
Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey — Rasheed Hasrat

Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey

Rasheed Hasrat 7 couplets
  1. Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey Tumhe lena parre jo faisla woh zahn se lo gey

  2. Pata kya waqt kaisa khail khailay, hum bhichar jayen Kahan hon ge najane hum, najane tum kahan ho gey

  3. Mohabbat kaam kya aati, hamara haal to dekho Isi ka moujza keh lo huay hum hain maran jogy

  4. Luta dun tum pay apni saari khusihyan zindagani bhi Chalo yeh tay hoa, itna kaho badlay mein kya do gey

  5. Kisi uljhi hui ruut ka koi bhatka hoa saya Para jo raah mein to chain apna tum ganwao gey

  6. Chalo tasleem karte hain lagao ge shikayat bhi Magar itna kahoon ( ilzaam kya rakhna hai? ) socho gey

  7. Suna hai kuch dinon tak pyar ki raahat mayasar hai Phir us ke baad hasrat jee faqat raton mein jago gey

Submitted by Rasheed Hasrat

Report a mistake

More by Rasheed Hasrat

All poems