Khushbu se rang, rang se khushbu nikaal day

Khushbu se rang, rang se khushbu nikaal day
Dil ko bujha ke shehr-e tamanna ujaal day
Apne amal ka aap hi acha sa naam rakh
Kam zarfi nigah ko husn ma’al day
Read More […]
Khushbu se rang, rang se khushbu nikaal day
Dil ko bujha ke shehr-e tamanna ujaal day
Apne amal ka aap hi acha sa naam rakh
Kam zarfi nigah ko husn ma’al day
Read More […]
Woh mera dost mere haal se aagah to ho
Na sahi sach mein magar khawab mein hamrah to ho
Kuch assar unn pay mere aah o faghan ka yaaro
Ho nah ho, phir bhi mere lab pay koi aah to ho
Read More […]
Honton pay kabhi un ke mra naam hi aaye
Aaye to sahi barsar e ilzaam hi aaye
Heran hain lab basta hain dilgeer hain ghunche
Khushbu ki zabani tra pegham hi aaye
Kab hum ne kaha tum se mohabbat hai, nahi to
Dil hijr se amaada wehshat hai, nahi to
Baatein to bohat karte hain hum kood uchhal kar
Iss ehad mein mazdoor ki izzat hai, nahi to
Read More […]
Dekha hai jo ik mein ne wohi khawab bohat hai
Warna to wafa dostoo! Kamyaab bohat hai
Yeh dil ki zamee banjar o weraan pari thi
Thori si hui tujh se jo sairaab bohat hai
Read More […]
Badlay hue halaat se dar jata hon aksar
Sheeraza millat hon, bikhar jata hon aksar
Mein aisa safena hon ke saahil ki sada par
Tufaan ke seenay mein utar jata hon aksar
Read More […]
Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna
Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apna
Tumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai
Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna
Read More […]
Khamosh subahen, udas shaamein, tera pata mujh se poochti hain
Batau ab kya ke yeh fizayen palat ke kya mujh se poochti hain
Udas chiryen jo din ko danay ki khoj mein theen, hain lout aayi
Kahan he shaakh shajar ke jiss par tha ghonsla mujh se poochti hain
Read More […]