The ghazal
Read it in Urdu script-
Khushbu se rang, rang se khushbu nikaal day Dil ko bujha ke shehr-e tamanna ujaal day
-
Apne amal ka aap hi acha sa naam rakh Kam zarfi nigah ko husn ma'al day
-
Kuch aur hi terhan se hoti hain soorten Tareekh jin ko apne liye khadd-o-khaal day
-
Apne sakoon-e qalb ka kuch ihtimaam kar Is khana e kkhuda se kudorat nikaal day
-
Terah shabi hudood se bahar nikal gayi Wasif too apne daur ka sooraj uuchaal day


