246 poems · 41 poets
Tasweer Aayi Zehan Mein Jab Us Janab Ki Raton Ko Jaag Jaag Ke Neendain Kharab KiUn Name Baaz Aankhon Ki Masti Mein Mast Hon Mujh Ko Nahi Hai Koi Zaroorat Sharaab KiBe Chain Dil Ko Mere Sakun Ae Kis Terhan Uf Woh Jamal Yaar, Yeh Umrein Shabab KiMeri Mohabbaton Ka Nah Un Pay Assar Sun-hwa Mein Raah Daikhta Raha Unkay Jawab KiYeh Falsafah Hai Meri Mohabbat Ka Doston Jis Se Bhi Ki Kkhuda Ki Qisam Be Hisaab Ki
Har Raat Karte Hain Sitaray, Mujh Se Baat Nai Hoti Hai Behas Unn Se, Har Raat NaiAankhh Se Girtay Hain Har Rang Ke Moti Har Baar Karta Hon Khairaat Nai
Dunya Mein Hun Dunya Ka Talabgar Nahi Hun Bazar Se Guzra Hun Khredar Nahi HunZinda Hun Magar Zeesat Ki Lizzat Nahi Baqi Har Chand Ke Hun Hosh Mein Hushyar Nahi Hun
Ye Bhi Fakhar Hai Ke Kisi Ne Wafa Ki Ban Gaya Mera Mere Zakhmon Ki Dawa KiBhula Hi Diye Mujhy Us Ne Dukh Sabhi Ban Ke Mila Hai Mujh Ko Naimat Khuda Ki
Aab E Khunk Mein Doob Gaye Shams O Qamar Mere Ashk Ke Muqabil Nahi, Teri AankhenJheel Nama Kya, Samاndar Nama Hon Gi Mere Dil Se Nahi Ghehri, Teri AankhenKhobsurati Nazare Main Nahin, Nazar Main Hoti Hai Meri Aankhon Ko Lagti Hain Khobsurat, Teri AankhenLabon Se Keh Rahi Ho Na Mila Karo Aur Khuch Aur Keh Rahi Hain, Teri Aankhen
Hum To Tum Se Wafa Karte Rahay Magar Tum Thay Jo Hum Se Dagha Karte RahayHum Ko Tumhare Se Koi Ranjish Thi Nah Koi Gham Tha Magar Tum Thay Jo Hum Se Gala Karte RahayHum Ne Tum Ko Samjhaya, Bohat Kuch Bataya Magar Tum Thay Jo Hum Par Ibham Karte RahayBe Lagaam Karte Rahay Bohat Kavshin Kee Tum Ko Raazi Karne Ki Hum Ne
Unki Tekh Nigahein Dekh, Maine Kya Sar Jhuka Diya Khuda Ko Khuda Samaj Bethe, Mushrik Mujhe Bana DiyaAb Kehte Hain Mujh Ko Sajda Karo, Per Unki Koi Khata Nahi Thee Mere Ishq Ki Intaha, Arsh Par Unhe Bitha DiyaKisne Kaha Tha Tumhein, Behijaab Milne Aaya Karo Pehle To Sirf Aashiq Tha, Dewaana Mujhe Bana DiyaApne Ishq Ki Dastaan, Thodi Ajeeb O Garib Hai Khud Toh Woh Laila Ban Na Saki, Aur Majnoon Mujhe Bana Diya
Saqi Na Pila, Bhar Bhar Ke Mujhe Mai Se Sarokaar NahiAata Hoon Peene, Nighahoon Se Rind Hoon , Bada Khar NahiHar Baat Main Faidey Ki Baat Karte Ho Yeh Ishq Hai Meri Jaan, Karobaar NahiMain Jan Bujh Ke Teri Batoon Main Aajata Hoon Jitna Samajhte Ho, Tum Itne Hoshyaar Nahi
Gham Nah Kar Teray Liye Chairag Ban Jaoon Ga Khud Jal Kar Teri Raah Mein Roshni Kar Jaoon GaDar Hai Ke Mujh Se Ruswaiyun Nah Milein Tumhe Tark Talluq Mein Khud Hi Se Kar Jaoon Ga
Apni Ana Ke Waaste Kya Kya Nahi Kiye Rona Tha Jis Maqaam Pe Hum Muskura DiyeIs Tarah Bhi Hayat-e-basar Apni Hogai Mehfil Mein Jaa Ke Hans Liye Ghar Aake Roo Liye
Meri Ujri Hui Basti Ko Yunhi Sun-saan Rehne Do Khusihyan Raas Nahi Aati Mujhe Pareshan Rehne DoZeenat Nahi Banta To Nah Ban Mere Dil Ke Aangan Ki Par –apne Ashiyaney Par Meri Uraan Rehne Do
Hazaron Ki Bheer Mein Tanha Hain Aik Teri Mulaqaat Ke Talab-gaar HainSamjhay Nah To Zamane Ke Jaisa Matlabi Isi Liye Thora Mohtaat HainIshhq Mein Tairay Doob Gaye Itna Ke Khud Se Bhi Bezaar HainKisi Ka Bolna Bhi Nahi Lagta Acha Ik Teri Aawaz Ke Talab-gaar Hain
Mouj Darya Bhi Khamosh Thi Fiza Bhi Udaas ThiSukut Tha Har Taraf Pyaas Thi Un Sab Ki Wajah Aik Hi Baat ThiWoh Raat Judai Ki Raat Thi Mein Bazid Thi Usay Roknay ParWoh Bhi Ara Raha Jaaney Par Khatam Kaisay Hoti Baat
Yeh Bhi Fakhr Hai Ke Kisi Nay Wafa Ki Ban Gaya Mera Mere Zakhamo Ki Dawa KiBhula Hi Dyie Mujhe Is Nay Dukh Sabhi Ban Ke Mila Hai Mujh Ko Nemat Kkhuda Ki
Ghamza Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota Aankh Un Se Jo Milti Hai Tu Kya Kya Nahi HotaJalwa Naho Maani Ka Tu Surat Ka Asar Kya Bulbul Gul Tasweer Ka Sheeda Nahi Hota
Sab Sitam, Sab Jafayeen Bhula Di Mein Ny Un Ke Be Wafai Ki Khud Ko Saza Di Mein NyIs Gaon Ke Musafir Tum Ny Dekhi Hai Woh Soorat Jis Pay Apni Zindagi Luta Di Mein Ny
Muzir Sahet, Mohabbat Se Muztarib Hi Achay Ho Hi Jayen Ge Kisi Aur Mein Se Do Chaar BachayKya Karne Kisi Se Waday Jhotay Ya Sachey Iraday Un Ke Naik They, Ya They Kachay Pakkay
Ishq K Dhaon Mai Pro K Mujay Hansane Ka Keh Gya Hai Wo Ro K Mujay Be Chain Sorat Us Ki Aa Jati Hai Aata Nahi Chain Ab So K Mujay
Nah Sahi Aur Par Itni To Inayat Karte Apne Maheman Ko Hanstay Hue Rukhsat KarteMabham Alfaaz Mein Hum Ne Tujay Kya Likha Hai To Kabhi Rubaroo Aata To Wazahat Karte
Mohabbat Agar Lafzi Hai Ya Naqal Hai Aesa Mat Kejiye, Nafsiati Qatal HaiQudar Ho Tu Us Ka Aik Hal Hai Krein Na Krein Woh Aik Naik Amal Hai
Showing 140 of 246