Badlay hue halaat se dar jata hon aksar

wasif ali wasif ghazals - 2

Badlay hue halaat se dar jata hon aksar
Sheeraza millat hon, bikhar jata hon aksar

Mein aisa safena hon ke saahil ki sada par
Tufaan ke seenay mein utar jata hon aksar

Mein mout ko paata hon kabhi zair-e kaf-e pa
Hasti ke guma se bhi guzar jata hon aksar

Marnay ki ghari aaye to mein zeist ka taalib
Jeeney ka taqaza ho to mar jata hon aksar

Rehta hon akela mein bhari duniya mein wasif
Le naam mra koi to dar jata hon aksar

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments