Tera pata mujh se pochti hain

rasheed hasrat urdu shayari

Khamosh subahen, udas shaamein, tera pata mujh se poochti hain
Batau ab kya ke yeh fizayen palat ke kya mujh se poochti hain

Udas chiryen jo din ko danay ki khoj mein theen, hain lout aayi
Kahan he shaakh shajar ke jiss par tha ghonsla mujh se poochti hain

Tumhe to sehraa nordyion mein kamaal he, kuch humey batao
Kamaal ki hain jo hastiyan aabla pa, mujh se poochti hain

Fqihh shehr-e bulaa ne mujh ko to muddaton se he qaid rakha
Adaltin hain ke ab kahin ja meri khata mujh se poochti hain

Koi tallq, koi bhi natha nahi raha he to nah sahi ab
Yeh pak bazoo ki toliyan kُchh bhi kyun bhala mujh se poochti hain

Faseel shehr-e amma ki yaaro khuda se hmm kher mangty hain
Bulayen kya kya mere nagar ka hi rasta mujh se poochti hain

Wafa ke sheeshay ki kirchiyun ke semathnay ka koi saleeqa ?
Batao hasrat, barri ada se, pari ada mujh se poochti hain

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments