Kab hum ne kaha tum se mohabbat hai, nahi to
Dil hijr se amaada wehshat hai, nahi to
Baatein to bohat karte hain hum kood uchhal kar
Iss ehad mein mazdoor ki izzat hai, nahi to
Mazdoori bhi lau to aِsi ko hi thamaon
Biwi mein bhala larnay ki himmat hai, nahi to
Doulat ke pujari hain faqat aaj masiihaa
Dukh baantna hai, yeh koi khidmat hai? ? Nahi to
Dawa to sabhi karte hain par aisa nhِin hai
Tafreeq nahi hum mein haqeeqat hai, nahi to
Khud haath se mein aap karoon apni tabahi
Aur sab se kahoon yeh mِri qismat hai, nahi to
Jo pehli mohabbat thi maza uss ka allag tha
Kya ab bhi wohi pehli si lazzat hai, nahi to
Hum jiss ke saharay pay rahay, uss ka bicharna
Jaan lainay se kya kam yeh museebat hai, nahi to
Ae waqt tera zakham bhara hai nah bharay ga
Mehfooz tre waar se hasrat hai, nahi to