Skip to content
SadPoetry
EN
Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna — Rasheed Hasrat

Sunaoun ga tumhe ae dost

Rasheed Hasrat Ghazal 7 couplets
  1. Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apna

  2. Tumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna

  3. Nhِin hota to hum kab ka jhulas kar raakh ho jatay Hamaray kaam aaya dekh lo yeh aitdaal apna

  4. Tumhari aankh se aansu to kya khoo bhi rawan ho ga Kaho to shair goi mein dikha den woh kamaal apna

  5. Bohat maqbool hoti ja rahi hai dil zadghan mein Hamari shairi, ab to fasoon bhi be misaal apna

  6. Ghuroor ik aarzah jiss ka tadaruk hi nahi mumkin Laga ik baar yeh jiss ko samajh le woh zawaal apna

  7. Karishma waqt mein rakha gaya hai zakham bharnay ka Lagey jo ghaao to hasrat, banay khud indimaal apna

Submitted by Rasheed Hasrat

Report a mistake

More by Rasheed Hasrat

All poems