246 poems · 41 poets
Tamam log akailey, koye rehbar hi na tha Bicharnay walon mein ik mera hamsafar hi na thaBarhana shakhon ka jungle gara tha aankhon mein Woh raat thi ke kahin chand ka guzar hi nah tha
Tere jaisa nahi koi jo chani yeh jahan mein ne Ke to hai hoor jannat ki jo lipti hai hijaboon meinJo khilta hai tra chehra tri muskaan se to phir Koi sani nahi hota tery jaisa gulabon mein
Baharain phir se aayengi, hawayain phir wohi hongi khizaan Mai Jo gir Gaye pattay ,dubara phir nahi hongayKaliyan muskurayegi, sadbargh phir naye hongay Patjhad Mai murjha Gaye Jo phool, dubara phir nahi hongay
Cigarette ke dhuwen mein khans raha tha main Apne aap ko dhondtay hue haanp raha tha mainSochte sochte dimagh mera band honay hi laga tha Haalat ko apni dekh kar kanp rha tha mein
Naz us ke uthata hoon rulaata bhi mujhe hai Zulfon mein sulaata bhi, jagaata bhi mujhe haiAata hai bohat uss pay mujhe gussa bhi lekin Pyar uss pay kabhi toot ke aata bhi mujhe hai
Nasha koi bhi ho chorna aasaan nahi hota Gir dil mein ho azm to kya kuch nahi hotaBarray se barray pahar bhi sir ho jatay hain Junoon ke agay bahana kuch nahi hota
aankh mein aankh daal dekha hai mein ne sara jamal dekha haiteri yaado ke aik lamhay mein mein ne guzarta saal dekha hai
Hamein jo zabt ka haasil kamaal ho jaye Hamara ishq bhi jannat-e misaal ho jayeSuna hai tum ko saleeqa hai zakham bharnay ka Hamaray ghaao ka bhi indimaal ho jaye
Khula hai jhoot ka bazaar, ao sach bolein Nah ho bulaa se khredar, ao sach boleinSukut chaaya hai insaaniyat ki qadron par Yahi hai mauqa izhaar, ao sach bolein
Jaanta koi nahi aaj asolon ki zuban Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zubanMosam gul hai khilay ap ki khushbu ke gulab Bolan aa ke phir zara jholon ki zuban
Jhoot se sach ki shoroyat nahi ho sakti Lehja karwa ho tu phir baat nahi ho saktiJis ki tasveer meri aankh main har pal basi hai Yar us shakhs se mulaqaat nahi ho sakti?
Lout to aao ge, lotao ge din raat kisay Phir muyassar bhala ayen ge yeh lamhaat kisayKhoob lagta hai abhi dais se pardes tumhen Kaam hai khoob yahan, atay hain sandis tumhen Aik din dekhna puhanche gi bohat thais tumhen
Banay phirtay hain woh fankar logo Azal se jo rahay makkar, logoKoi kam zarf dekhlaye haqeeqat Har ik ja, har ghari har baar logo
Apni Kismat Ko Phir Badal Kar Dekhte Hain Aao muhabbat ko ek baar sambhal kar dekhte hainchaand taare phool shabnam sab rakhte hain ek taraf Mahboob-e-nazar pe es baar mar kar dekhte hain
Mere honton se pehlay hansi cheenta Phir mera dil, meri zindagi cheentaAur luttay ko hi paas kya tha mِre Aankh mein reh gayi thi nami, cheenta
Panah day ga, koi sayibaan to woh bhi nahi Hamein fanaa hai magar jawidaan to woh bhi nahiHamaray pyar ki nao phansi hai beech bhanwar Bacha ke laaye koi badbaan to woh bhi nahiJo sach kahin to khizaa ourh ke bhi khush hain bohat Nhِin ujaar magar gulisitan to woh bhi nahi
Kama ke jo bhi lata hai woh ghar pay waar deta hai Karaye daar ko ghar ka kiraya maar deta haiTujhe maloom hai na hum kisi se lar nahi satke Hamaray haath mein phir kis liye talwar deta haiKisi ko gaaliyan dena shareefon ka nahi shewa Jo hota hai bura gaali wohi badkaar deta haiMujhe pakka yaqeen hai mein taraqqi paon ga ik din Duayen raat din mujh ko mra dildar deta hai
Hamara rutba, tumhara maqam yaad rahay Khird se door tumhe aql-e khaam yaad rahayAda kiya to hai kirdaar shah zade ka Magar ghulam ho, ibn-e ghulam yaad rahayAbhi hain shall mere bazu so haath khech liya Zaroor lon ga magar intiqam yaad rahay
Mujh pay itnay sitam kya na karo Ae zindagi mujhe ruswa na karoHaqeeqat khulay gi kabhi na kabhi to Khilaaf mere abhi koi faisla na karo
Mein tairay sang abhi aur chal nhِin sakta Lِkha gaya jo muqaddar mein tal nahi saktaHar aik gaam pay kaanton ka saamna to hai Chuna jo rasta, rasta badal nahi saktaMein bhook jheel ke faqon se mar to sakta hoon Milein jo bheek mein tukron pay pal nahi sakta
Showing 40 of 246