The ghazal
Read it in Urdu script-
Ye jo deewany se do chaar nazar atay hain Un mein kuch sahib asaraar nazar atay hain
-
Teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jatay hain Warna yeh log to bedaar nazar atay hain
-
Daur tak koi sitara hai nah koi jugno Merg umeed ke assaar nazar atay hain
-
Marey daman mein shararon ke siwa kuch bhi nahi Aap phoolon ke khredar nazar atay hain
-
Kal jinhein chhoo nahi sakti thi firshton ki nazar Aaj woh ronaqe bazaar nazar atay hain
-
Hashar mein kon gawahi meri day ga saghar Sab tumahray hi tarafdar nazar atay hain


