Mujhe aisay tumhe na aazmana chahiye tha
Bta kar hi tumahray shehar aana chahiye tha
Mere har har qadam par shak ki nazrain hain tumhari
Tumhe to rothney ka bas bahana chahiye tha
Mere bachay gaye hain kal se picnic ka bta kar
Nahi aaye abhi tak, un ko aana chahiye tha
Najane kis liye tha raat sannaaton ka pehra
Mujhe mehfil mein thora gungunana chahiye tha
Kama kar mein jawaa bachon ko palun, boorha ho kar
Yeh be his hain inhain har haal ( khana ) chahiye tha
Hui hogi meri takheer se logon ko zahmat
Maafi do mujhe bar waqt aana chahiye tha
Bohat hi mukhtasir tha sath apna aur tumhara
Magar tum ko bhoolanay ko zamana chahiye tha
Khuli jo baat logon ne uchala khol ke jee
Unhen to guftagu ko ik fasana chahiye tha
Kisi dil ka khula dar dekh kar hum aan baithy
Hamein to sir chhupanay ko thikana chahiye tha
Lagaya ratjagoon ka jis ne inn aankhon mein kajal
Sakoo aisay sitam gir ka churana chahiye tha
Rasheed ab tak gunahon mein guzari zindagani
Tumhe thori si neki bhi kamaana chahiye tha